apni apni raahon par muddat tak chalte chalte
aaj achaanak ik chaurahe par jo tum se mel hua
to main ne teri gahri aankhon mein jhaanka
aur chaunk uthi
in mein tapte seharaaon ka basera tha
aur door door tak veeraane the
reet ke dhundle dhundle baadal udte firte the
lekin main ne ek lamhe ko ye manzar bhi dekh liya
ki tapte jalte seharaaon mein
mere naam ka ik aansu ik thanda meetha nakhlishtaan bhi ugaa hua tha
अपनी अपनी राहों पर मुद्दत तक चलते चलते
आज अचानक इक चौराहे पर जो तुम से मेल हुआ
तो मैं ने तेरी गहरी आँखों में झाँका
और चौंक उठी
इन में तपते सहराओं का बसेरा था
और दूर दूर तक वीराने थे
रीत के धुँदले धुँदले बादल उड़ते फिरते थे
लेकिन मैं ने एक लम्हे को ये मंज़र भी देख लिया
कि तपते जलते सहराओं में
मेरे नाम का इक आँसू, इक ठंडा मीठा नख़लिस्तान भी उगा हुआ था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Nahid Qasmi
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari