sab ki sunte hain ham apni baat bahut kam kahte hain | सब की सुनते हैं हम अपनी बात बहुत कम कहते हैं

  - Naim Hamid Ali

sab ki sunte hain ham apni baat bahut kam kahte hain
ik tasveer mein har lamha ham khoye khoye rahte hain

raaz-e-mohabbat laakh chhupaaya faash magar ho kar hi raha
ham to zabaan se kuchh nahin kahte aansu bahte rahte hain

jin ki khaatir duniya bhar se ham ne naata tod liya
waqt pada to vo bhi ham ko begaana hi kahte hain

dukh dena aasaan hai pyaare dukh sahna aasaan nahin
ye to hamaari hi himmat hai hans hans kar dukh sahte hain

is se badh kar aur qayamat ai gham-e-dauraan kya hogi
yaad bhi ab vo kam aate hain aansu bhi kam bahte hain

सब की सुनते हैं हम अपनी बात बहुत कम कहते हैं
इक तस्वीर में हर लम्हा हम खोए खोए रहते हैं

राज़-ए-मोहब्बत लाख छुपाया फ़ाश मगर हो कर ही रहा
हम तो ज़बाँ से कुछ नहीं कहते आँसू बहते रहते हैं

जिन की ख़ातिर दुनिया भर से हम ने नाता तोड़ लिया
वक़्त पड़ा तो वो भी हम को बेगाना ही कहते हैं

दुख देना आसान है प्यारे दुख सहना आसान नहीं
ये तो हमारी ही हिम्मत है हँस हँस कर दुख सहते हैं

इस से बढ़ कर और क़यामत ऐ ग़म-ए-दौराँ क्या होगी
याद भी अब वो कम आते हैं आँसू भी कम बहते हैं

  - Naim Hamid Ali

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naim Hamid Ali

As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali

Similar Writers

our suggestion based on Naim Hamid Ali

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari