karishma-saaz-o-saraapa-bahaar hai ki nahin
shabaab-o-husn-e-ghazal ba-waqaar hai ki nahin
khizaan ka daur sahi ye batao ahl-e-chaman
yaqeen-e-aamad-e-fasl-e-bahaar hai ki nahin
baja ki mai-kada veeraan hai masjidein aabaad
raees-e-shahr bhi parhez-gaar hai ki nahin
zabaan khateeb ki mazmoon raees-e-shahr ka hai
namaaziyo pe ye raaz aashkaar hai ki nahin
nigaah chahiye tahleel-o-tazziye ke liye
khizaan ka daur naved-e-bahaar hai ki nahin
hamaara maazi-o-haazir bhi ik mu'ammaa hai
bahaar thi ki nahin thi bahaar hai ki nahin
ghazal to kahte hain sab ham magar ye dekhte hain
vo karb-e-asr ki aaina-daar hai ki nahin
hijaab maan-e-jalwa sahi naved bhi hai
khizaan naqaab-e-nigaar-e-bahaar hai ki nahin
madaar bakhshish-o-pursish ka hai niyat pe naim
umeed-e-rahmat-e-parwardigaar hai ki nahin
करिश्मा-साज़-ओ-सरापा-बहार है कि नहीं
शबाब-ओ-हुस्न-ए-ग़ज़ल बा-वक़ार है कि नहीं
ख़िज़ाँ का दौर सही ये बताओ अहल-ए-चमन
यक़ीन-ए-आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार है कि नहीं
बजा कि मै-कदा वीराँ है मस्जिदें आबाद
रईस-ए-शहर भी परहेज़-गार है कि नहीं
ज़बाँ ख़तीब की मज़मूँ रईस-ए-शहर का है
नमाज़ियों पे ये राज़ आश्कार है कि नहीं
निगाह चाहिए तहलील-ओ-तज्ज़िये के लिए
ख़िज़ाँ का दौर नवेद-ए-बहार है कि नहीं
हमारा माज़ी-ओ-हाज़िर भी इक मुअ'म्मा है
बहार थी कि नहीं थी बहार है कि नहीं
ग़ज़ल तो कहते हैं सब हम मगर ये देखते हैं
वो कर्ब-ए-अस्र की आईना-दार है कि नहीं
हिजाब मान-ए-जल्वा सही नवेद भी है
ख़िज़ाँ नक़ाब-ए-निगार-ए-बहार है कि नहीं
मदार बख़्शिश-ओ-पुर्सिश का है नियत पे 'नईम'
उमीद-ए-रहमत-ए-परवरदिगार है कि नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali
our suggestion based on Naim Hamid Ali
As you were reading Aankhein Shayari Shayari