agar shaane pe din ke raat ka parcham nahin hota | अगर शाने पे दिन के रात का परचम नहीं होता

  - Naim Hamid Ali

agar shaane pe din ke raat ka parcham nahin hota
ye aalam kuchh bhi hota khushnuma aalam nahin hota

kisi soorat tapkata zakham dil ka kam nahin hota
ye zakhm-e-dil hai ye minnat-kash-e-marham nahin hota

masarrat se masarrat aur gham se gham nahin hota
ajab hota hai aalam jab koi aalam nahin hota

bharosa nakhuda pe karne waala doob jaata hai
pukaare jo khuda ko gharq-e-mauj-e-yam nahin hota

shahaadat paai hai dil ne fida-e-gul-rukhan ho kar
shaheedon ka hamaare deen mein maatam nahin hota

zahe-qismat ki aaghosh-e-haram hai aur ham warna
gunaahon ka sila to saagar-e-zamzam nahin hota

naim apna liya hai ham ne gham saare zamaane ka
ki jab had se guzar jaata hai gham phir gham nahin hota

अगर शाने पे दिन के रात का परचम नहीं होता
ये आलम कुछ भी होता ख़ुशनुमा आलम नहीं होता

किसी सूरत टपकता ज़ख़्म दिल का कम नहीं होता
ये ज़ख़्म-ए-दिल है ये मिन्नत-कश-ए-मरहम नहीं होता

मसर्रत से मसर्रत और ग़म से ग़म नहीं होता
अजब होता है आलम जब कोई आलम नहीं होता

भरोसा नाख़ुदा पे करने वाला डूब जाता है
पुकारे जो ख़ुदा को ग़र्क़-ए-मौज-ए-यम नहीं होता

शहादत पाई है दिल ने फ़िदा-ए-गुल-रुख़ाँ हो कर
शहीदों का हमारे दीन में मातम नहीं होता

ज़हे-क़िस्मत कि आग़ोश-ए-हरम है और हम वर्ना
गुनाहों का सिला तो साग़र-ए-ज़मज़म नहीं होता

'नईम' अपना लिया है हम ने ग़म सारे ज़माने का
कि जब हद से गुज़र जाता है ग़म फिर ग़म नहीं होता

  - Naim Hamid Ali

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naim Hamid Ali

As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali

Similar Writers

our suggestion based on Naim Hamid Ali

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari