kabhi sarsar hai kabhi baad-e-saba hai saaqi
zindagi silsila-e-beem-o-raja hai saaqi
na kudoorat hai kisi se na gila hai saaqi
main ne khud apne muqaddar ko likha hai saaqi
apne maahol mein shaamil hoon main auron ki tarah
mere jeene ka magar taur juda hai saaqi
mera chehra mere jazbaat ka akkaas nahin
mera dil dekh jahaan hashr bapaa hai saaqi
kuchh kahein ahl-e-khirad fikr nahin hai mujh ko
mere a'amal khuda dekh raha hai saaqi
mufti-o-mohtasib-o-vaiz-o-qaazi-o-faqeeh
teri aankhon se kahi koi bacha hai saaqi
waqif-e-raaz hai may-khaana-e-hasti ka naim
us ke honton pe magar qufl-e-wafa hai saaqi
कभी सरसर है कभी बाद-ए-सबा है साक़ी
ज़िंदगी सिलसिला-ए-बीम-ओ-रजा है साक़ी
न कुदूरत है किसी से न गिला है साक़ी
मैं ने ख़ुद अपने मुक़द्दर को लिखा है साक़ी
अपने माहौल में शामिल हूँ मैं औरों की तरह
मेरे जीने का मगर तौर जुदा है साक़ी
मेरा चेहरा मिरे जज़्बात का अक्कास नहीं
मेरा दिल देख जहाँ हश्र बपा है साक़ी
कुछ कहें अहल-ए-ख़िरद फ़िक्र नहीं है मुझ को
मेरे आ'माल ख़ुदा देख रहा है साक़ी
मुफ़्ती-ओ-मोहतसिब-ओ-वाइज़-ओ-क़ाज़ी-ओ-फ़क़ीह
तेरी आँखों से कहीं कोई बचा है साक़ी
वाक़िफ़-ए-राज़ है मय-ख़ाना-ए-हस्ती का 'नईम'
उस के होंटों पे मगर क़ुफ़्ल-ए-वफ़ा है साक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali
our suggestion based on Naim Hamid Ali
As you were reading Aaina Shayari Shayari