nigaah rakh di zabaan rakh di mataa'-e-qalb-o-jaan rakh di | निगह रख दी ज़बाँ रख दी मताअ'-ए-क़ल्ब-ओ-जाँ रख दी

  - Naim Hamid Ali

nigaah rakh di zabaan rakh di mataa'-e-qalb-o-jaan rakh di
mita kar apni hasti pesh-e-sang-e-aastaan rakh di

gumaan guzra tire naqsh-e-kaf-e-paa ka jahaan rakh di
nahin ye hosh ham ko ham ne peshaani kahaan rakh di

banaya aur dil mein joshish-e-aatish-fashaan rakh di
gazab ki ek musht-e-khaak zer-e-aasmaan rakh di

vo ab apna kahein ya gair zarf-e-ahl-e-gulshan hai
hamein ye fakhr kya kam hai binaa-e-gulsitaan rakh di

mere seene mein ya-rab ye dil-e-betaab kya kam tha
jo is mein ek-tarfa khwaahish-e-deed-e-butaan rakh di

bada hi bol-baala tha magar ham ahl-e-wahshat ne
uda kar ek hi thokar mein gard-e-aasmaan rakh di

huzoor-e-dost kab thi jurat-e-arz-e-sukhan dil ko
bayaan kar ke nigaah-e-shauq ne sab dastaan rakh di

tamaashaai banaane ke liye aankhen ata ki hain
sana-khwan ban ke rahne ke liye munh mein zabaan rakh di

zabaan urdu bayaan dil-joo aur andaaz-e-ghazal khushboo
zameen-e-sher mein kaifiyyat-e-baag-e-jinaan rakh di

mubarak ye ghazal kah kar naim apne liye tum ne
jahaan-e-sheer mein buniyaad-e-qasr-e-javedaan rakh di

निगह रख दी ज़बाँ रख दी मताअ'-ए-क़ल्ब-ओ-जाँ रख दी
मिटा कर अपनी हस्ती पेश-ए-संग-ए-आस्ताँ रख दी

गुमाँ गुज़रा तिरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा का जहाँ रख दी
नहीं ये होश हम को हम ने पेशानी कहाँ रख दी

बनाया और दिल में जोशिश-ए-आतिश-फ़शाँ रख दी
ग़ज़ब की एक मुश्त-ए-ख़ाक ज़ेर-ए-आसमाँ रख दी

वो अब अपना कहें या ग़ैर ज़र्फ़-ए-अहल-ए-गुलशन है
हमें ये फ़ख़्र क्या कम है बिना-ए-गुल्सिताँ रख दी

मिरे सीने में या-रब ये दिल-ए-बेताब क्या कम था
जो इस में एक-तरफ़ा ख़्वाहिश-ए-दीद-ए-बुताँ रख दी

बड़ा ही बोल-बाला था मगर हम अहल-ए-वहशत ने
उड़ा कर एक ही ठोकर में गर्द-ए-आसमाँ रख दी

हुज़ूर-ए-दोस्त कब थी जुरअत-ए-अर्ज़-ए-सुख़न दिल को
बयाँ कर के निगाह-ए-शौक़ ने सब दास्ताँ रख दी

तमाशाई बनाने के लिए आँखें अता की हैं
सना-ख़्वाँ बन के रहने के लिए मुँह में ज़बाँ रख दी

ज़बाँ उर्दू बयाँ दिल-जू और अंदाज़-ए-ग़ज़ल ख़ुशबू
ज़मीन-ए-शेर में कैफ़िय्यत-ए-बाग़-ए-जिनाँ रख दी

मुबारक ये ग़ज़ल कह कर 'नईम' अपने लिए तुम ने
जहान-ए-शेर में बुनियाद-ए-क़स्र-ए-जावेदाँ रख दी

  - Naim Hamid Ali

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naim Hamid Ali

As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali

Similar Writers

our suggestion based on Naim Hamid Ali

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari