tilism-e-shams-o-nujoom-o-qamar se guzre hain
dayaar-e-husn ki har raahguzaar se guzre hain
koi bhi qalb-o-nazar ko aseer kar na saka
hazaar rang ke jalwe nazar se guzre hain
har imtihaan-e-azeemat se tere deewane
bahut vaqaar bade karr-o-far se guzre hain
thehar gai hain wahin gardishein zamaane ki
bala-kashaan-e-mohabbat jidhar se guzre hain
naim jin se ibaarat hai zindagi ka sukoon
vo haadsaat bhi meri nazar se guzre hain
तिलिस्म-ए-शम्स-ओ-नुजूम-ओ-क़मर से गुज़रे हैं
दयार-ए-हुस्न की हर रहगुज़र से गुज़रे हैं
कोई भी क़ल्ब-ओ-नज़र को असीर कर न सका
हज़ार रंग के जल्वे नज़र से गुज़रे हैं
हर इम्तिहान-ए-अज़ीमत से तेरे दीवाने
बहुत वक़ार बड़े कर्र-ओ-फ़र से गुज़रे हैं
ठहर गई हैं वहीं गर्दिशें ज़माने की
बला-कशान-ए-मोहब्बत जिधर से गुज़रे हैं
'नईम' जिन से इबारत है ज़िंदगी का सुकूँ
वो हादसात भी मेरी नज़र से गुज़रे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali
our suggestion based on Naim Hamid Ali
As you were reading Diversity Shayari Shayari