salaamat ishq afsaane bahut hain
junoon ki khair veeraane bahut hain
khird-mandoon ne chhodaa saath to kya
meri jaan tere deewane bahut hain
nahin hai gar koi apna to kya gham
khuda ka shukr begaane bahut hain
main sab ka martaba rakhta hoon malhooz
ki mere zehan mein khaane bahut hain
naim aashufta-dil tum hi nahin ho
sataaya jin ko duniya ne bahut hain
सलामत इश्क़ अफ़्साने बहुत हैं
जुनूँ की ख़ैर वीराने बहुत हैं
ख़िरद-मंदों ने छोड़ा साथ तो क्या
मिरी जाँ तेरे दीवाने बहुत हैं
नहीं है गर कोई अपना तो क्या ग़म
ख़ुदा का शुक्र बेगाने बहुत हैं
मैं सब का मर्तबा रखता हूँ मलहूज़
कि मेरे ज़ेहन में ख़ाने बहुत हैं
'नईम' आशुफ़्ता-दिल तुम ही नहीं हो
सताया जिन को दुनिया ने बहुत हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naim Hamid Ali
our suggestion based on Naim Hamid Ali
As you were reading Udasi Shayari Shayari