na chaahat se na yaadon se na vaadon se na khwaabon se
ghazal ka kaar-khaana chal raha hai bas azaabon se
udaasi rang ban kar har varq par phail jaati hai
teri tasveer hoti hai juda jab bhi kitaabon se
sar-e-shab aasmaan mein do sitaare jaise dikhte hain
tiri aankhen bhi kuchh waisi hi dikhti hain hijaabo se
charaagon ne bhi to neeraj tavajjoh sabki khoi hai
pareshaan sirf raatein hi nahin hain aaftaabon se
न चाहत से न यादों से न वादों से न ख़्वाबों से
ग़ज़ल का कार-ख़ाना चल रहा है बस अज़ाबों से
उदासी रंग बन कर हर वरक़ पर फैल जाती है
तेरी तस्वीर होती है जुदा जब भी क़िताबों से
सर-ए-शब आसमाँ में दो सितारे जैसे दिखते हैं
तिरी आँखें भी कुछ वैसी ही दिखती हैं हिजाबों से
चराग़ों ने भी तो 'नीरज' तवज्जोह सबकी खोई है
परेशाँ सिर्फ़ रातें ही नहीं हैं आफ़ताबों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Neeraj jha
our suggestion based on Neeraj jha
As you were reading Udas Shayari Shayari