bhare kamre mein udaasi ka asar tanhaa kiya
jaane kya baat thi kya soch ke ghar tanhaa kiya
khud mein jhaanka to mere jism se marboot tha vo
main ne jis jis ko bhi taa-hadd-e-nazar tanhaa kiya
kis ikaai ko bikharna doon kise jam'a karoon
kahaan karna tha badan tanhaa kidhar tanhaa kiya
mere malbe ki bachat roz khatkati thi use
mere wahshi ne mujhe baar-e-digar tanhaa kiya
kitni mushkil se basaaya tira dhadka dil mein
jism aabaad na ho jaaye agar tanhaa kiya
mujh khala-zaada mein vo khaali jagah chahti thi
karna banta to na tha khud ko magar tanhaa kiya
ik nishast us ke liye khaali rakhi vehshat ki
jis ke hamraah mohabbat ka safar tanhaa kiya
भरे कमरे में उदासी का असर तन्हा किया
जाने क्या बात थी क्या सोच के घर तन्हा किया
ख़ुद में झाँका तो मिरे जिस्म से मरबूत था वो
मैं ने जिस जिस को भी ता-हद्द-ए-नज़र तन्हा किया
किस इकाई को बिखरने दूँ किसे जम्अ करूँ
कहाँ करना था बदन तन्हा किधर तन्हा किया
मेरे मलबे की बचत रोज़ खटकती थी उसे
मेरे वहशी ने मुझे बार-ए-दिगर तन्हा किया
कितनी मुश्किल से बसाया तिरा धड़का दिल में
जिस्म आबाद न हो जाए अगर तन्हा किया
मुझ ख़ला-ज़ाद में वो ख़ाली जगह चाहती थी
करना बनता तो न था ख़ुद को मगर तन्हा किया
इक निशस्त उस के लिए ख़ाली रखी वहशत की
जिस के हमराह मोहब्बत का सफ़र तन्हा किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Dil Shayari Shayari