ham hain toofaan-e-haawadis se guzarne waale | हम हैं तूफ़ान-ए-हवादिस से गुज़रने वाले

  - Pandit Vidya Rattan Asi

ham hain toofaan-e-haawadis se guzarne waale
ham nahin mauj-e-bala-khez se darne waale

aap jee bhar ke dil-e-zaar pe bedaad karein
ham kisi taur shikaayat nahin karne waale

kaash tu dard-e-mohabbat se shanaasa hota
ahad-o-paimaan-e-mohabbat se mukarne waale

phool hi phool nahin is mein kai khaar bhi hain
dekh kar raah-e-mohabbat se guzarne waale

teri is khaas ada par hoon dil-o-jaan se nisaar
meri aankhon se mere dil mein utarne waale

aisi tanzeem-e-gulistaan ka khuda hi haafiz
ab ye tinke hain kisi roz bikharna waale

ab to be-kaar hai har saii-e-musalsal aasi
ab nahin gesu-e-haalat sanwarne waale

हम हैं तूफ़ान-ए-हवादिस से गुज़रने वाले
हम नहीं मौज-ए-बला-ख़ेज़ से डरने वाले

आप जी भर के दिल-ए-ज़ार पे बेदाद करें
हम किसी तौर शिकायत नहीं करने वाले

काश तू दर्द-ए-मोहब्बत से शनासा होता
अहद-ओ-पैमान-ए-मोहब्बत से मुकरने वाले

फूल ही फूल नहीं इस में कई ख़ार भी हैं
देख कर राह-ए-मोहब्बत से गुज़रने वाले

तेरी इस ख़ास अदा पर हूँ दिल-ओ-जाँ से निसार
मेरी आँखों से मिरे दिल में उतरने वाले

ऐसी तंज़ीम-ए-गुलिस्ताँ का ख़ुदा ही हाफ़िज़
अब ये तिनके हैं किसी रोज़ बिखरने वाले

अब तो बे-कार है हर सई-ए-मुसलसल 'आसी'
अब नहीं गेसू-ए-हालात सँवरने वाले

  - Pandit Vidya Rattan Asi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pandit Vidya Rattan Asi

As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Writers

our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari