kisi ke ranj-o-gham mein jo bashar shaamil nahin hota
vo duniya mein kabhi tazeem ke qaabil nahin hota
mareez-e-ishq se ai chaaragar ye be-rukhi kaisi
kisi bebas ka dil rakhna koi mushkil nahin hota
nihaayat be-maza hoti hai vo roodaad ulfat ki
tumhaara zikr jis roodaad mein shaamil nahin hota
koi pooche mere dil se zara mehfil ki veeraani
kabhi mehfil mein jab vo raunaq-e-mehfil nahin hota
haqeeqat mein unhin ko zindagaani raas aati hai
vo jin ke vaaste marna koi mushkil nahin hota
sulook-e-dahr ka shikwa kabhi karte nahin warna
sulook-e-dahr se ghaafil hamaara dil nahin hota
mohabbat ki koi manzil nahin hoti zamaane mein
ye vo dariya hai jis ka koi bhi saahil nahin hota
tiri baaton pe ai naaseh yaqeen ham kis tarah kar len
ye vo baatein hain jin baaton se kuchh haasil nahin hota
faqat saaqi ka dil rakhne ko pee leta hoon ai aasi
kisi soorat mein warna shaamil-e-mahfil nahin hota
किसी के रंज-ओ-ग़म में जो बशर शामिल नहीं होता
वो दुनिया में कभी ताज़ीम के क़ाबिल नहीं होता
मरीज़-ए-इश्क़ से ऐ चारागर ये बे-रुख़ी कैसी
किसी बेबस का दिल रखना कोई मुश्किल नहीं होता
निहायत बे-मज़ा होती है वो रूदाद उल्फ़त की
तुम्हारा ज़िक्र जिस रूदाद में शामिल नहीं होता
कोई पूछे मिरे दिल से ज़रा महफ़िल की वीरानी
कभी महफ़िल में जब वो रौनक़-ए-महफ़िल नहीं होता
हक़ीक़त में उन्हीं को ज़िंदगानी रास आती है
वो जिन के वास्ते मरना कोई मुश्किल नहीं होता
सुलूक-ए-दहर का शिकवा कभी करते नहीं वर्ना
सुलूक-ए-दहर से ग़ाफ़िल हमारा दिल नहीं होता
मोहब्बत की कोई मंज़िल नहीं होती ज़माने में
ये वो दरिया है जिस का कोई भी साहिल नहीं होता
तिरी बातों पे ऐ नासेह यक़ीं हम किस तरह कर लें
ये वो बातें हैं जिन बातों से कुछ हासिल नहीं होता
फ़क़त साक़ी का दिल रखने को पी लेता हूँ ऐ 'आसी'
किसी सूरत में वर्ना शामिल-ए-महफ़िल नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Baaten Shayari Shayari