jaata raha qalb se saari khudaai ka ishq | जाता रहा क़ल्ब से सारी ख़ुदाई का इश्क़

  - Parveen Umm-e-Mushtaq

jaata raha qalb se saari khudaai ka ishq
qaabil-e-taarif hai tere fidaai ka ishq

kaisi museebat hai ye gul ko khamoshi ka shauq
bulbul-e-betaab ko harza-saraai ka ishq

pad gai bakne ki lat warna yahan tak na tha
waiz-e-na-fahm ko harza-saraai ka ishq

karta hoon jo baar baar bosa-e-rukh ka sawaal
husn ke sadqe se hai mujh ko gadaai ka ishq

tum ko khuda ne diya saari khudaai ka husn
mujh ko ata kar diya saari khudaai ka ishq

aashiq o maashooq ki haaye nibhe kis tarah
un ko kudoorat ka shauq mujh ko safaai ka ishq

pooch le parveen se ya qais se daryaft kar
shehar mein mashhoor hai tere fidaai ka ishq

जाता रहा क़ल्ब से सारी ख़ुदाई का इश्क़
क़ाबिल-ए-तारीफ़ है तेरे फ़िदाई का इश्क़

कैसी मुसीबत है ये गुल को ख़मोशी का शौक़
बुलबुल-ए-बेताब को हर्ज़ा-सराई का इश्क़

पड़ गई बकने की लत वर्ना यहाँ तक न था
वाइज़-ए-ना-फ़हम को हर्ज़ा-सराई का इश्क़

करता हूँ जो बार बार बोसा-ए-रुख़ का सवाल
हुस्न के सदक़े से है मुझ को गदाई का इश्क़

तुम को ख़ुदा ने दिया सारी ख़ुदाई का हुस्न
मुझ को अता कर दिया सारी ख़ुदाई का इश्क़

आशिक़ ओ माशूक़ की हाए निभे किस तरह
उन को कुदूरत का शौक़ मुझ को सफ़ाई का इश्क़

पूछ ले 'परवीं' से या क़ैस से दरयाफ़्त कर
शहर में मशहूर है तेरे फ़िदाई का इश्क़

  - Parveen Umm-e-Mushtaq

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Umm-e-Mushtaq

As you were reading Shayari by Parveen Umm-e-Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Umm-e-Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari