khuda ke fazl se ham haq pe hain baatil se kya nisbat | ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम हक़ पे हैं बातिल से क्या निस्बत

  - Parveen Umm-e-Mushtaq

khuda ke fazl se ham haq pe hain baatil se kya nisbat
hamein tum se taalluq hai mah-e-kaamil se kya nisbat

mah-e-kanaa'n ko mere is mah-e-kaamil se kya nisbat
zulekha ke mulawwis dil ko mere dil se kya nisbat

hama ka ram zi-khud-kaami b-badnaami kasheed aakhir
kabhi main ne na socha raaz ko mehfil se kya nisbat

kahe jaata hai jo waiz sune jaate hain ham lekin
jo ahl-e-dil nahin us ko hamaare dil se kya nisbat

mujhe hai sadma-e-hijraan adoo ko saikron khushiyaan
mere ujde hue ghar ko bhari mehfil se kya nisbat

khuda hi phir bharosa hai khuda hai nakhuda mera
vagarna main bhanwar mein hoon mujhe saahil se kya nisbat

firaq-e-yaar mein mera dil-e-muztar na thehrega
tumheen socho sukoon ko tāir-e-bismil se kya nisbat

kaneez-e-hazrat-e-mushkil-kusha hoon dil se main parveen
taalluq mujh ko aasaani se hai mushkil se kya nisbat

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम हक़ पे हैं बातिल से क्या निस्बत
हमें तुम से तअल्लुक़ है मह-ए-कामिल से क्या निस्बत

मह-ए-कनआँ को मेरे इस मह-ए-कामिल से क्या निस्बत
ज़ुलेख़ा के मुलव्विस दिल को मेरे दिल से क्या निस्बत

हमा का रम ज़ि-ख़ुद-कामी ब-बदनामी कशीद आख़िर
कभी मैं ने न सोचा राज़ को महफ़िल से क्या निस्बत

कहे जाता है जो वाइज़ सुने जाते हैं हम लेकिन
जो अहल-ए-दिल नहीं उस को हमारे दिल से क्या निस्बत

मुझे है सदमा-ए-हिज्राँ अदू को सैकड़ों ख़ुशियाँ
मिरे उजड़े हुए घर को भरी महफ़िल से क्या निस्बत

ख़ुदा ही फिर भरोसा है ख़ुदा है नाख़ुदा मेरा
वगर्ना मैं भँवर में हूँ मुझे साहिल से क्या निस्बत

फ़िराक़-ए-यार में मेरा दिल-ए-मुज़्तर न ठहरेगा
तुम्हीं सोचो सुकूँ को ताइर-ए-बिस्मिल से क्या निस्बत

कनीज़-ए-हज़रत-ए-मुश्किल-कुशा हूँ दिल से मैं 'परवीं'
तअल्लुक़ मुझ को आसानी से है मुश्किल से क्या निस्बत

  - Parveen Umm-e-Mushtaq

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Umm-e-Mushtaq

As you were reading Shayari by Parveen Umm-e-Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Umm-e-Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari