band kamre mein hoon aur koi dareecha bhi nahin | बंद कमरे में हूँ और कोई दरीचा भी नहीं

  - Parvez Bazmi

band kamre mein hoon aur koi dareecha bhi nahin
kisi dastak ka larzata hua jhonka bhi nahin

teergi odh ke aayi hai ghatta ki chadar
aur faanoos koi aah ka jalta bhi nahin

kal mere saaye mein sustaai thi sadiyon ki thakan
aaj vo ped hoon jis par koi patta bhi nahin

dhoop ke dasht ka darpaish safar hai mujh ko
saath dene ko magar koi parinda bhi nahin

apna khun raah mein failaaiin lakeeron ki tarah
aane waale na kahi naqsh-e-kaf-e-paa bhi nahin

बंद कमरे में हूँ और कोई दरीचा भी नहीं
किसी दस्तक का लरज़ता हुआ झोंका भी नहीं

तीरगी ओढ़ के आई है घटा की चादर
और फ़ानूस कोई आह का जलता भी नहीं

कल मिरे साए में सुस्ताई थी सदियों की थकन
आज वो पेड़ हूँ जिस पर कोई पत्ता भी नहीं

धूप के दश्त का दरपेश सफ़र है मुझ को
साथ देने को मगर कोई परिंदा भी नहीं

अपना ख़ूँ राह में फैलाईं लकीरों की तरह
आने वाले न कहीं नक़्श-ए-कफ़-ए-पा भी नहीं

  - Parvez Bazmi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Bazmi

As you were reading Shayari by Parvez Bazmi

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Bazmi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari