vo khwaab khwaab fazaa vo nagar kisi ka tha
musaafirat to meri thi safar kisi ka tha
nazar-gurez raheen is tarah meri aankhen
ki jaise mera nahin mera ghar kisi ka tha
lahu to mera chhupa tha kali ki mutthi mein
khule gulaab pe haqq-e-nazar kisi ka tha
bahut buland meri paasbaan faseelen theen
dhadakte dil ko mere phir bhi dar kisi ka tha
ye haath paanv mere the zabaan meri thi
jo de raha tha ishaare vo sar kisi ka tha
वो ख़्वाब ख़्वाब फ़ज़ा वो नगर किसी का था
मुसाफ़िरत तो मिरी थी सफ़र किसी का था
नज़र-गुरेज़ रहीं इस तरह मिरी आँखें
कि जैसे मेरा नहीं मेरा घर किसी का था
लहू तो मेरा छुपा था कली की मुट्ठी में
खुले गुलाब पे हक़्क़-ए-नज़र किसी का था
बहुत बुलंद मिरी पासबाँ फ़सीलें थीं
धड़कते दिल को मिरे फिर भी डर किसी का था
ये हाथ पाँव मिरे थे ज़बान मेरी थी
जो दे रहा था इशारे वो सर किसी का था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Bazmi
our suggestion based on Parvez Bazmi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari