jaagti aankhon mein kaise khwaab dar aane lage | जागती आँखों में कैसे ख़्वाब दर आने लगे

  - Parvez Bazmi

jaagti aankhon mein kaise khwaab dar aane lage
raaste meri taraf le kar safar aane lage

door tak udti abaabeelon ki daaren dekh kar
oonghte panchi ke bhi jumbish mein par aane lage

kaayenaat-e-shab mein chashm-e-justuju bhatki firee
raushni ke mantqe aakhir nazar aane lage

kitni dard-angez thi sooni mandiyon ki pukaar
ud gaye the jo parinde laut kar aane lage

ghar to ik din ham ne bhi chhodaa siddharth ki tarah
phool aangan ke magar har soo nazar aane lage

dhajjiyaan daaman ki pehle hi numayaan theen bahut
kuchh naye ilzaam bhi ab mere sar aane lage

जागती आँखों में कैसे ख़्वाब दर आने लगे
रास्ते मेरी तरफ़ ले कर सफ़र आने लगे

दूर तक उड़ती अबाबीलों की डारें देख कर
ऊँघते पंछी के भी जुम्बिश में पर आने लगे

काएनात-ए-शब में चश्म-ए-जुस्तुजू भटकी फिरी
रौशनी के मंतक़े आख़िर नज़र आने लगे

कितनी दर्द-अंगेज़ थी सूनी मंडियों की पुकार
उड़ गए थे जो परिंदे लौट कर आने लगे

घर तो इक दिन हम ने भी छोड़ा सिद्धार्थ की तरह
फूल आँगन के मगर हर सू नज़र आने लगे

धज्जियाँ दामन की पहले ही नुमायाँ थीं बहुत
कुछ नए इल्ज़ाम भी अब मेरे सर आने लगे

  - Parvez Bazmi

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Bazmi

As you were reading Shayari by Parvez Bazmi

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Bazmi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari