dhoop mein baithe hain bacche haath mein chaagal liye
so gaeein shaayad hawaaein god mein baadal liye
aa raha hai chup ke taalaabon mein patthar fenkta
ik juloos-e-koudkaan ko saath ik paagal liye
in andheri bastiyon mein rakh na darwaaza khula
kaun aata hai yahan apnaai ki mash'al liye
zaat mein gum-sum yoonhi sadkon pe din bhar ghoomna
aur shab ko sochna pahluu mein dil be-kal liye
kya ajab us par mahak hi jaayen darmaan ke gulaab
hai to ik shaakh-e-nazar ummeed ki konpal liye
aaj tak be-samtiyon ki rah-ravi ne kya diya
ab zara dam le bhi lo bazmi bahut kuchh chal liye
धूप में बैठे हैं बच्चे हाथ में छागल लिए
सो गईं शायद हवाएँ गोद में बादल लिए
आ रहा है चुप के तालाबों में पत्थर फेंकता
इक जुलूस-ए-कौदकाँ को साथ इक पागल लिए
इन अँधेरी बस्तियों में रख न दरवाज़ा खुला
कौन आता है यहाँ अपनाई की मशअ'ल लिए
ज़ात में गुम-सुम यूँही सड़कों पे दिन भर घूमना
और शब को सोचना पहलू में दिल बे-कल लिए
क्या अजब उस पर महक ही जाएँ दरमाँ के गुलाब
है तो इक शाख़-ए-नज़र उम्मीद की कोंपल लिए
आज तक बे-सम्तियों की रह-रवी ने क्या दिया
अब ज़रा दम ले भी लो 'बज़्मी' बहुत कुछ चल लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Bazmi
our suggestion based on Parvez Bazmi
As you were reading Rahbar Shayari Shayari