aapki na roz roz raah dekhi jaayegi
ab koi nayi si baargaah dekhi jaayegi
aap mujhko dekhna husn-e-ehtiyaat se
dekh lena aapki nigaah dekhi jaayegi
aaj ka ye aadmi hai jaane kis gumaan mein
roz kehta hai karo gunaah dekhi jaayegi
baat samjhi jaayegi na she'r mein chhupi hui
bazm me janab waah waah dekhi jaayegi
aashiqi zaroor hai jo shaayri ke vaaste
kar len ham bhi zindagi tabaah dekhi jaayegi
waqt aane deejie kamaal imtihaan ka
zindagi se aapki nibaah dekhi jaayegi
आपकी न रोज़ रोज़ राह देखी जाएगी
अब कोई नई सी बारगाह देखी जाएगी
आप मुझको देखिएगा हुस्न-ए-एहतियात से
देख लेना आपकी निगाह देखी जाएगी
आज का ये आदमी है जाने किस गुमान में
रोज़ कहता है करो गुनाह देखी जाएगी
बात समझी जाएगी न शे'र में छुपी हुई
बज़्म मे जनाब वाह वाह देखी जाएगी
आशिकी ज़रूर है जो शाइरी के वास्ते
कर लें हम भी ज़िंदगी तबाह देखी जाएगी
वक़्त आने दीजिए कमाल इम्तिहान का
ज़िन्दगी से आपकी निबाह देखी जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abuzar kamaal
our suggestion based on Abuzar kamaal
As you were reading Nigaah Shayari Shayari