dil be-tab-o-taab ho gaya hai
aaina kharab ho gaya hai
har shakhs hai ishtehaar apna
har chehra kitaab ho gaya hai
har saans se aa rahi hain lapken
har lamha azaab ho gaya hai
jis din se bane ho tum maseeha
haal aur kharab ho gaya hai
honton pe khila hua tabassum
zakhamon ki naqaab ho gaya hai
socha tha to ishq tha haqeeqat
dekha hai to khwaab ho gaya hai
qaisar gham-e-zindagi simat kar
ik jaam-e-sharaab ho gaya hai
दिल बे-तब-ओ-ताब हो गया है
आईना ख़राब हो गया है
हर शख़्स है इश्तिहार अपना
हर चेहरा किताब हो गया है
हर साँस से आ रही हैं लपकें
हर लम्हा अज़ाब हो गया है
जिस दिन से बने हो तुम मसीहा
हाल और ख़राब हो गया है
होंटों पे खिला हुआ तबस्सुम
ज़ख़्मों की नक़ाब हो गया है
सोचा था तो इश्क़ था हक़ीक़त
देखा है तो ख़्वाब हो गया है
'क़ैसर' ग़म-ए-ज़िंदगी सिमट कर
इक जाम-ए-शराब हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Ilm Shayari Shayari