jigar ke khoon se tazain-e-baal-o-par kar di | जिगर के ख़ून से तज़ईन-ए-बाल-ओ-पर कर दी

  - Rabia Barni

jigar ke khoon se tazain-e-baal-o-par kar di
chaman-aseer ne yun zindagi basar kar di

hikaayat-e-gham-e-dil yun bhi mukhtasar hi thi
tumhaare kehne se lo aur mukhtasar kar di

meri wafa ki kahaani se kaun waqif tha
tumhaare jor ne tashheer dar-b-dar kar di

qadam badhaao ki manzil qareeb hai shaayad
tabhi to raah hareefon ne tang tar kar di

ye kis jahaan-e-tamanna ka phir khayal aaya
ki jis khayal ne har shay azeez-tar kar di

shabaan-e-zulf ki baatein tuluu'-e-rukh ki khair
tamaam umr ibadat mein mukhtasar kar di

naye hain jaam-o-suboo baada-o-khumaar naya
aur ham ne kohna-sharaabi mein shab sehar kar di

bahut hi khoob thi rudaad-e-mausam-e-hasti
tiri nigaah ke saaye ne khoob-tar kar di

na manzilon ki khabar hai na raaston ka pata
mata-e-qalb-o-nazar nazr-e-raah par kar di

naye shu'ur naye falsafe nayi aqdaar
ayyaar-e-ishq ne har kaayenaat sar kar di

जिगर के ख़ून से तज़ईन-ए-बाल-ओ-पर कर दी
चमन-असीर ने यूँ ज़िंदगी बसर कर दी

हिकायत-ए-ग़म-ए-दिल यूँ भी मुख़्तसर ही थी
तुम्हारे कहने से लो और मुख़्तसर कर दी

मिरी वफ़ा की कहानी से कौन वाक़िफ़ था
तुम्हारे जौर ने तश्हीर दर-ब-दर कर दी

क़दम बढ़ाओ कि मंज़िल क़रीब है शायद
तभी तो राह हरीफ़ों ने तंग तर कर दी

ये किस जहान-ए-तमन्ना का फिर ख़याल आया
कि जिस ख़याल ने हर शय अज़ीज़-तर कर दी

शबान-ए-ज़ुल्फ़ की बातें तुलूअ'-ए-रुख़ की ख़ैर
तमाम उम्र इबादत में मुख़्तसर कर दी

नए हैं जाम-ओ-सुबू बादा-ओ-ख़ुमार नया
और हम ने कोहना-शराबी में शब सहर कर दी

बहुत ही ख़ूब थी रूदाद-ए-मौसम-ए-हस्ती
तिरी निगाह के साए ने ख़ूब-तर कर दी

न मंज़िलों की ख़बर है न रास्तों का पता
मता-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र नज़्र-ए-राह पर कर दी

नए शुऊ'र नए फ़लसफ़े नई अक़दार
अय्यार-ए-इश्क़ ने हर काएनात सर कर दी

  - Rabia Barni

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rabia Barni

As you were reading Shayari by Rabia Barni

Similar Writers

our suggestion based on Rabia Barni

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari