har samt gulistaan mein zanjeer nazar aayi | हर सम्त गुलिस्ताँ में ज़ंजीर नज़र आई

  - Rafeeq Pilibhiti

har samt gulistaan mein zanjeer nazar aayi
phoolon ki har ik daali taqseer nazar aayi

har berg pe zalim ki tahreer nazar aayi
har phool mein qaateel ki tasveer nazar aayi

har subh shab-e-gham ki tafseer nazar aayi
har shaam savere ki ta'zeer nazar aayi

bismil ko duaon mein taaseer nazar aayi
jab aakhiri hichki mein taakheer nazar aayi

ruswaai-e-paiham mein tashheer nazar aayi
zulmat mein rafeeq aakhir tanveer nazar aayi

हर सम्त गुलिस्ताँ में ज़ंजीर नज़र आई
फूलों की हर इक डाली तक़्सीर नज़र आई

हर बर्ग पे ज़ालिम की तहरीर नज़र आई
हर फूल में क़ातिल की तस्वीर नज़र आई

हर सुब्ह शब-ए-ग़म की तफ़्सीर नज़र आई
हर शाम सवेरे की ता'ज़ीर नज़र आई

बिस्मिल को दुआओं में तासीर नज़र आई
जब आख़िरी हिचकी में ताख़ीर नज़र आई

रुस्वाई-ए-पैहम में तश्हीर नज़र आई
ज़ुल्मत में 'रफ़ीक़' आख़िर तनवीर नज़र आई

  - Rafeeq Pilibhiti

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafeeq Pilibhiti

As you were reading Shayari by Rafeeq Pilibhiti

Similar Writers

our suggestion based on Rafeeq Pilibhiti

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari