koi rishte hue zakhamon ki dava ban jaaye | कोई रिसते हुए ज़ख़्मों की दवा बन जाए

  - Rafiq Siraji

koi rishte hue zakhamon ki dava ban jaaye
koi bimaar-e-mohabbat ka khuda ban jaaye

koi be-sood umeedon ka sahaara hove
koi bahte hue ashkon ki rida ban jaaye

koi pahunchen meri taskin ka saamaan ban kar
koi tadpi hui aahon ki sada ban jaaye

koi hamdard uthe moonis-o-gham-khwaar bane
mere haq mein koi phir dast-e-dua ban jaaye

koi ubhre mere honton pe siyaahi ban kar
aakhri hichki bane wajh-e-qaza ban jaaye

koi darmaanda jawaani ko bhi pahnaaye kafan
roye chillaaye ki pur-shor fazaa ban jaaye

ham ko le jaaye mazaaron ke shehar koi rafeeq
koi be-dast janaaze ka asa ban jaaye

कोई रिसते हुए ज़ख़्मों की दवा बन जाए
कोई बीमार-ए-मोहब्बत का ख़ुदा बन जाए

कोई बे-सूद उमीदों का सहारा होवे
कोई बहते हुए अश्कों की रिदा बन जाए

कोई पहुँचे मिरी तस्कीन का सामाँ बन कर
कोई तड़पी हुई आहों की सदा बन जाए

कोई हमदर्द उठे मूनिस-ओ-ग़म-ख़्वार बने
मेरे हक़ में कोई फिर दस्त-ए-दुआ' बन जाए

कोई उभरे मिरे होंटों पे सियाही बन कर
आख़री हिचकी बने वजह-ए-क़ज़ा बन जाए

कोई दरमाँदा जवानी को भी पहनाए कफ़न
रोए चिल्लाए कि पुर-शोर फ़ज़ा बन जाए

हम को ले जाए मज़ारों के शहर कोई 'रफ़ीक़'
कोई बे-दस्त जनाज़े का असा बन जाए

  - Rafiq Siraji

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Siraji

As you were reading Shayari by Rafiq Siraji

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Siraji

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari