raheen-e-hasrat-o-hirmaan-o-yaas baithe hain | रहीन-ए-हसरत-ओ-हिरमान-ओ-यास बैठे हैं

  - Rafiq Siraji

raheen-e-hasrat-o-hirmaan-o-yaas baithe hain
vo shaadmaan hain magar ham udaas baithe hain

karein to kaise yaqeen ham karein wafa pe tiri
raqeeb ab bhi tire aas-paas baithe hain

vo ek tu ki khud apni khata pe rooth gaya
par ek ham ki saraapa sipaas baithe hain

kisi ka jaam rahe hain kisi ka may-khaana
ham ek umr se khud ban ke pyaas baithe hain

tumhaare zikr pe jee bhar ke roye chillaaye
kuchh aise dil ki nikale bhadaas baithe hain

रहीन-ए-हसरत-ओ-हिरमान-ओ-यास बैठे हैं
वो शादमाँ हैं मगर हम उदास बैठे हैं

करें तो कैसे यक़ीं हम करें वफ़ा पे तिरी
रक़ीब अब भी तिरे आस-पास बैठे हैं

वो एक तू कि ख़ुद अपनी ख़ता पे रूठ गया
पर एक हम कि सरापा सिपास बैठे हैं

किसी का जाम रहे हैं किसी का मय-ख़ाना
हम एक उम्र से ख़ुद बन के प्यास बैठे हैं

तुम्हारे ज़िक्र पे जी भर के रोए चिल्लाए
कुछ ऐसे दिल की निकाले भड़ास बैठे हैं

  - Rafiq Siraji

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Siraji

As you were reading Shayari by Rafiq Siraji

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Siraji

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari