khatm hone ko hi tha bas zindagi ka mas'ala
darmiyaan aane laga phir aashiqi ka mas'ala
rail patri zehar ya phir faansi ka fanda chunoon
kashmakash mein daalta hai khudkushi ka mas'ala
pyaar mein jo gham mila hairaangi ki baat kya
hamne dekha pyaar mein hai ye sabhi ka mas'ala
mas'ala koi bhi ho akshar bikhar jaate hain log
mujhko shohrat de raha hai shayari ka mas'ala
muflisi ki baat to karte siyaasi log par
hal nahin hota kabhi bhi muflisi ka mas'ala
aankh uski zulf uski baat uski may hi may
door hota hi nahin hai maykashi ka mas'ala
yun malak dil bhi mile hain rooh se ham ek hain
par nuzoomi kah raha hai kundli ka mas'ala
ख़त्म होने को ही था बस ज़िंदगी का मस'अला
दरमियाँ आने लगा फिर आशिक़ी का मस'अला
रेल पटरी ज़हर या फिर फाँसी का फंदा चुनूँ
कश्मकश में डालता है ख़ुदकुशी का मस'अला
प्यार में जो ग़म मिला हैरानगी की बात क्या
हमने देखा प्यार में है ये सभी का मस'अला
मस'अला कोई भी हो अक्सर बिखर जाते हैं लोग
मुझको शोहरत दे रहा है शायरी का मस'अला
मुफ़्लिसी की बात तो करते सियासी लोग पर
हल नहीं होता कभी भी मुफ़्लिसी का मस'अला
आँख उसकी ज़ुल्फ़ उसकी बात उसकी मय ही मय
दूर होता ही नहीं है मयकशी का मस'अला
यूँ 'मलक' दिल भी मिले हैं रूह से हम एक हैं
पर नुज़ूमी कह रहा है कुंडली का मस'अला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ram Singar Malak
our suggestion based on Ram Singar Malak
As you were reading Udas Shayari Shayari