ye mo'jiza bhi muqaddar mujhe dikhaaye kahi | ये मो'जिज़ा भी मुक़द्दर मुझे दिखाए कहीं

  - Sabahat Asim

ye mo'jiza bhi muqaddar mujhe dikhaaye kahi
vo ab ke aaye to jaane ki rah na paaye kahi

chhupa chhupa ke rakha main ne jis ko khud se bhi
vo tera zikr kitaabon mein ab na aaye kahi

hui hai umr nibhaate hue tire gham se
ye hausla bhi magar ab na maat khaaye kahi

ajeeb jashn-e-bahaaraan hai baagh sab ujde
makaan tab ye gulon se gaye sajaaye kahi

tamaam fasl karoon nazr abr ki aasim
jo baarishon mein mera khet bhi nahaaye kahi

ये मो'जिज़ा भी मुक़द्दर मुझे दिखाए कहीं
वो अब के आए तो जाने की रह न पाए कहीं

छुपा छुपा के रखा मैं ने जिस को ख़ुद से भी
वो तेरा ज़िक्र किताबों में अब न आए कहीं

हुई है उम्र निभाते हुए तिरे ग़म से
ये हौसला भी मगर अब न मात खाए कहीं

अजीब जश्न-ए-बहाराँ है बाग़ सब उजड़े
मकान तब ये गुलों से गए सजाए कहीं

तमाम फ़स्ल करूँ नज़्र अब्र की 'आसिम'
जो बारिशों में मिरा खेत भी नहाए कहीं

  - Sabahat Asim

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabahat Asim

As you were reading Shayari by Sabahat Asim

Similar Writers

our suggestion based on Sabahat Asim

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari