dil mein un ki yaadon ke jab diye jalate hain
daaman-e-takhayyul par phool muskuraate hain
tum shikast-e-dil par kyun is qadar pareshaan ho
aainon ka kya vo to yun hi toot jaate hain
aap se to qurbat mein faasle rahe qaaim
log to qareeb aa kar raah bhool jaate hain
raat yun guzarti hai kashmakash ke maaron ki
ik diya jalate hain ik diya bujhaate hain
jab nigaah padti hai zindagi ke chehre par
aankhen dabdabaati hain hont thartharaate hain
yaad se muzayyan hai aaj bhi dil-e-'sumbul
log beete lamhon ko kis tarah bhulaate hain
दिल में उन की यादों के जब दिए जलाते हैं
दामन-ए-तख़य्युल पर फूल मुस्कुराते हैं
तुम शिकस्त-ए-दिल पर क्यों इस क़दर परेशाँ हो
आईनों का क्या वो तो यूँ ही टूट जाते हैं
आप से तो क़ुर्बत में फ़ासले रहे क़ाएम
लोग तो क़रीब आ कर राह भूल जाते हैं
रात यूँ गुज़रती है कश्मकश के मारों की
इक दिया जलाते हैं इक दिया बुझाते हैं
जब निगाह पड़ती है ज़िंदगी के चेहरे पर
आँखें डबडबाती हैं होंट थरथराते हैं
याद से मुज़य्यन है आज भी दिल-ए-'सुम्बुल'
लोग बीते लम्हों को किस तरह भुलाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Sumbul
our suggestion based on Sabiha Sumbul
As you were reading Good night Shayari Shayari