guzre hain ham pe aise bhi lamhe kabhi kabhi | गुज़रे हैं हम पे ऐसे भी लम्हे कभी कभी

  - Sabiha Sumbul

guzre hain ham pe aise bhi lamhe kabhi kabhi
dil ro pada hai sun ke latife kabhi kabhi

sehra se tishnagi ka sabab poochte ho kya
dariya bhi ham ne dekhe hain pyaase kabhi kabhi

gum-karda raah-e-zeest sahi is ke baawajood
pooche hain ham se khizr ne raaste kabhi kabhi

ai na-khuda-e-waqt na itna ghuroor kar
doobe hain sahilon pe safeene kabhi kabhi

har dil ko aap aaina-khaana na jaaniye
patthar se sakht hote hain sheeshe kabhi kabhi

sumbul hua hai ye bhi ki ghazalon ke roop mein
naazil hue hain ham pe sahife kabhi kabhi

गुज़रे हैं हम पे ऐसे भी लम्हे कभी कभी
दिल रो पड़ा है सुन के लतीफ़े कभी कभी

सहरा से तिश्नगी का सबब पूछते हो क्या
दरिया भी हम ने देखे हैं प्यासे कभी कभी

गुम-कर्दा राह-ए-ज़ीस्त सही इस के बावजूद
पूछे हैं हम से ख़िज़्र ने रस्ते कभी कभी

ऐ ना-ख़ुदा-ए-वक़्त न इतना ग़ुरूर कर
डूबे हैं साहिलों पे सफ़ीने कभी कभी

हर दिल को आप आइना-ख़ाना न जानिए
पत्थर से सख़्त होते हैं शीशे कभी कभी

'सुम्बुल' हुआ है ये भी कि ग़ज़लों के रूप में
नाज़िल हुए हैं हम पे सहीफ़े कभी कभी

  - Sabiha Sumbul

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Sumbul

As you were reading Shayari by Sabiha Sumbul

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Sumbul

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari