ye maana tum ho zamaane ke ba-kamaalon mein
to ham bhi khud ko samjhte hain be-misaalon mein
wafa ka naam nahin shehar ke ghazaalon mein
milega zahar yahan mad-bhare piyaalon mein
mahak utha hai meri aarzoo ka sheesh-mahal
ye kaun aa ke basa hai mere khayaalon mein
hamaare paas tha har baat ka jawaab magar
uljh ke rah gaye ham aap ke sawaalon mein
ham un ke hansne ka andaaz kya kahein sumbul
ki jaise door bajen ghantiyaan shivaalon mein
ये माना तुम हो ज़माने के बा-कमालों में
तो हम भी ख़ुद को समझते हैं बे-मिसालों में
वफ़ा का नाम नहीं शहर के ग़ज़ालों में
मिलेगा ज़हर यहाँ मद-भरे पियालों में
महक उठा है मिरी आरज़ू का शीश-महल
ये कौन आ के बसा है मिरे ख़यालों में
हमारे पास था हर बात का जवाब मगर
उलझ के रह गए हम आप के सवालों में
हम उन के हँसने का अंदाज़ क्या कहें 'सुम्बुल'
कि जैसे दूर बजें घंटियाँ शिवालों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Sumbul
our suggestion based on Sabiha Sumbul
As you were reading Gaon Shayari Shayari