main bikhar na jaaun varq varq mujhe taq-e-dil mein sajaaiye
mera harf harf hai be-baha mujhe is tarah na mitaaiye
hai kudooraton ke hisaar mein ye mohabbaton ka haseen nagar
ye dayaar-e-aab-e-hayaat hai ise sam-kada na banaaiye
koi aks tak na thehar saka meri chashm-e-fikr-o-khayaal mein
abhi ajnabi se hain khaal-o-khud mujhe aaina na dikhaiye
pas-e-zulm aap ki bakhshein ye inaayaten ye sakhaavaten
koi maang baithe na khoon-bahaa ye lahu ke daagh chhupaie
ho dilon mein husn-e-qalandari ho zabaan pe na'ra-e-sarmadi
jo hila de takht-e-sikandari. wahi kaj-kulaahi dikhaiye
hai khizaan ki zad pe abhi talak rukh-e-'sumbul dil-e-yaasmeen
abhi intizaar ka waqt hai abhi jashn-e-gul na manaaiye
मैं बिखर न जाऊँ वरक़ वरक़ मुझे ताक़-ए-दिल में सजाइए
मिरा हर्फ़ हर्फ़ है बे-बहा मुझे इस तरह न मिटाइए
है कुदूरतों के हिसार में ये मोहब्बतों का हसीं नगर
ये दयार-ए-आब-ए-हयात है इसे सम-कदा न बनाइए
कोई अक्स तक न ठहर सका मिरी चश्म-ए-फ़िक्र-ओ-ख़याल में
अभी अजनबी से हैं ख़ाल-ओ-ख़द मुझे आइना न दिखाइए
पस-ए-ज़ुल्म आप की बख़्शिशें ये इनायतें ये सख़ावतें
कोई माँग बैठे न ख़ूँ-बहा ये लहू के दाग़ छुपाइए
हो दिलों में हुस्न-ए-क़लंदरी हो ज़बाँ पे ना'रा-ए-सरमदी
जो हिला दे तख़्त-ए-सिकंदरी वही कज-कुलाही दिखाइए
है ख़िज़ाँ की ज़द पे अभी तलक रुख़-ए-'सुम्बुल' दिल-ए-यासमीं
अभी इंतिज़ार का वक़्त है अभी जश्न-ए-गुल न मनाइए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Sumbul
our suggestion based on Sabiha Sumbul
As you were reading Aaina Shayari Shayari