dil mein zakhamon ki nayi fasl ugaane nikle
dard ke phool biyaabaan mein khilaane nikle
har imarat pe naye saal ka kitaba dekha
pahunchen nazdeek to aasaar purane nikle
pehle har dar pe rakhe sho'la-bayaani ke diye
jal utha shehar to phir aag bujhaane nikle
chaand jab rooth ke ruksat hua baam-o-dar se
log tapte hue suraj ko manaane nikle
har qadam talkh-e-ta'beer ke patthar barase
khwaab-zaaron ko kabhi ham jo sajaane nikle
dil ne jab qaid-e-ta'alluq se rihaai maangi
qurbaton ke liye kuchh aur bahaane nikle
दिल में ज़ख़्मों की नई फ़स्ल उगाने निकले
दर्द के फूल बयाबाँ में खिलाने निकले
हर इमारत पे नए साल का कतबा देखा
पहुँचे नज़दीक तो आसार पुराने निकले
पहले हर दर पे रखे शो'ला-बयानी के दिए
जल उठा शहर तो फिर आग बुझाने निकले
चाँद जब रूठ के रुख़्सत हुआ बाम-ओ-दर से
लोग तपते हुए सूरज को मनाने निकले
हर क़दम तल्ख़ी-ए-ता'बीर के पत्थर बरसे
ख़्वाब-ज़ारों को कभी हम जो सजाने निकले
दिल ने जब क़ैद-ए-तअ'ल्लुक़ से रिहाई माँगी
क़ुर्बतों के लिए कुछ और बहाने निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Sumbul
our suggestion based on Sabiha Sumbul
As you were reading Dil Shayari Shayari