yah tamaam zakham dard sogwaar tha mujhe | यह तमाम ज़ख़्म दर्द सोगवार था मुझे

  - Sagar Sahab Badayuni

yah tamaam zakham dard sogwaar tha mujhe
laut kar na aaya jiska intizaar tha mujhe

aapke hi vaadon se guzar rahi thi zindagi
aapke hi vaadon ka to etibaar tha mujhe

aap jaante hain aapki qasam sukoon nai
aap rahte the to rehta tha qaraar tha mujhe

aap chahte to dekh sakte the udaas dil
aapki khushi se bepanaah pyaar tha mujhe

aapki to bewafaai ka bhi dukh nahin mujhe
aapki to berukhi ka dukh shumaar tha mujhe

zindagi wafa na kar saki to koi gham nahin
maut tujhpe to ziyaada ikhtiyaar tha mujhe

यह तमाम ज़ख़्म दर्द सोगवार था मुझे
लौट कर न आया जिसका इंतिज़ार था मुझे

आपके ही वादों से गुज़र रही थी ज़िंदगी
आपके ही वादों का तो एतिबार था मुझे

आप जानते हैं आपकी क़सम सुकून नइंँ
आप रहते थे तो रहता था क़रार था मुझे

आप चाहते तो देख सकते थे उदास दिल
आपकी ख़ुशी से बेपनाह प्यार था मुझे

आपकी तो बेवफ़ाई का भी दुख नहीं मुझे
आपकी तो बेरुख़ी का दुख शुमार था मुझे

ज़िंदगी वफ़ा न कर सकी तो कोई ग़म नहीं
मौत तुझपे तो ज़ियादा इख़्तियार था मुझे

  - Sagar Sahab Badayuni

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari