oolaa din khaaye to yaa raat kate saani mein | ऊला दिन खाए तो याँ रात कटे सानी में

  - Sandeep dabral 'sendy'

oolaa din khaaye to yaa raat kate saani mein
ghazlein milti kahaan hain itni bhi aasaani mein

waqt lagta hai nateejon ko nikalne mein so
aks dikhta na kabhi chalte hue paani mein

jitne kirdaar the the yaar bahut pecheeda
so samajh aayi kahaani nazar-e-saani mein

video game ke shaukeen hue jab se ham
ab maza aata nahin bacchon ki shaitani mein

haath se bacche nikal jaate hain yaa pal bhar mein
gar zara si kami rah jaaye nigahbaani mein

bacche to bacche hain bacchon ki kahein hi kya vo
sher ke daant bhi gin lete hain nadaani mein

daur vo beet gaya jismein vasan bhaata tha
ab maza aata faqat logon ko uryaani mein

bhaav ko shabdon mein ham dhaalte hain aur kuchh nain
aise mat dekha karo yaa hamein hairaani mein

ऊला दिन खाए तो याँ रात कटे सानी में
ग़ज़लें मिलती कहाँ हैं इतनी भी आसानी में

वक़्त लगता है नतीजों को निकलने में सो
अक्स दिखता न कभी चलते हुए पानी में

जितने किरदार थे, थे यार बहुत पेचीदा
सो समझ आई कहानी नज़र-ए-सानी में

वीडियो गेम के शौकीन हुए जब से हम
अब मज़ा आता नहीं बच्चों की शैतानी में

हाथ से बच्चे निकल जाते हैं याँ पल भर में
गर ज़रा सी कमी रह जाए निगहबानी में

बच्चे तो बच्चे हैं बच्चों की कहें ही क्या, वो
शेर के दाँत भी गिन लेते हैं नादानी में

दौर वो बीत गया जिसमें वसन भाता था
अब मज़ा आता फ़क़त लोगों को उर्यानी में

भाव को शब्दों में हम ढालते हैं और कुछ नइँ
ऐसे मत देखा करो याँ हमें हैरानी में

  - Sandeep dabral 'sendy'

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sandeep dabral 'sendy'

As you were reading Shayari by Sandeep dabral 'sendy'

Similar Writers

our suggestion based on Sandeep dabral 'sendy'

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari