ham to jaana ja rahe hain shehar tera chhodkar
teri khushboo teri galiyaan tera rasta chhodkar
kaun batlaayega ab taabeer mere khwaab ki
log mere ja rahe hain mujh ko tanhaa chhodkar
mujh ko koi gham nahin hai yaar meri maut ka
tu magar kyun bhag aaya mujhko marta chhodkar
shehar mein laai hain hamko ghar ki zimmedaariyaan
varna ham aate nahin maa ko akela chhodkar
uski baatein sun kar ab sab chaaragar behosh hain
yaad usko kuchh nahin hai mera chehra chhodkar
khatm hone ka to ye kuchh naam tak leti nahin
zindagi ham aa gaye tujhko adhoora chhodkar
हम तो जाना जा रहे हैं शहर तेरा छोड़कर
तेरी ख़ुशबू तेरी गलियाँ तेरा रस्ता छोड़कर
कौन बतलायेगा अब ताबीर मेरे ख़्वाब की
लोग मेरे जा रहे हैं मुझ को तन्हा छोड़कर
मुझ को कोई ग़म नहीं है यार मेरी मौत का
तू मगर क्यूँ भाग आया मुझको मरता छोड़कर
शहर में लाई हैं हमको घर की जिम्मेदारियां
वरना हम आते नहीं माँ को अकेला छोड़कर
उसकी बातें सुन कर अब सब चारागर बेहोश हैं
याद उसको कुछ नहीं है मेरा चेहरा छोड़कर
ख़त्म होने का तो ये कुछ नाम तक लेती नहीं
ज़िन्दगी हम आ गये तुझको अधूरा छोड़कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahzan Khan Shahzan'
our suggestion based on Shahzan Khan Shahzan'
As you were reading Gham Shayari Shayari