maskh aana bhi laazmi hai ab
door jaana bhi laazmi hai ab
ishq ke qasmen aur vaadon ka
yun bhulaana bhi laazmi hai ab
teri parwaah kyun karein ham ab
dil hatana bhi laazmi hai ab
hai madine se bhi khuda gaayab
uska jaana bhi laazmi hai ab
saath saahir ke rah ke tera phir
kaafiraana bhi laazmi hai ab
मस्ख़ आना भी लाज़मी है अब
दूर जाना भी लाज़मी है अब
इश्क़ के क़समें और वादों का
यूँ भुलाना भी लाज़मी है अब
तेरी परवाह क्यों करें हम अब
दिल हटाना भी लाज़मी है अब
है मदीने से भी ख़ुदा गायब
उसका जाना भी लाज़मी है अब
साथ साहिर के रह के तेरा फिर
काफ़िराना भी लाज़मी है अब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir banarasi
our suggestion based on Sahir banarasi
As you were reading Ishq Shayari Shayari