vo lutuf-e-gham se yahan aashna hai pehle se | वो लुत्फ़-ए-ग़म से यहाँ आश्ना है पहले से - Aman Kumar Shaw "Haif"

vo lutuf-e-gham se yahan aashna hai pehle se
isiliye ghamon mein mubtala hai pehle se

karenge kaise kisi se gham-e-hayaat ka zikr
har ek shakhs yahan ghazamzada hai pehle se

fizool hai ye teri raushni ki koshish yaa
charaagh-e-dil ye mera bujh chuka hai pehle se

gila nahin hai koi tujhse ai mere hamdam
hayaat meri yahan be maza hai pehle se

mazid dard ko ye zabt kar gaya shaayad
dil-o-jigar mein mere ik khala hai pehle se

nahin bujhe ye charagh-e-wafa so maine yahan
lahu jigar ka diye mein rakha hai pehle se

zubaan na uski kabhi band kar sakoge yahan
vo shakhs goonga nahin bolta hai pehle se

huzoor dard-e-firaq-e-wafa se kya hoga
ghamon se haif ka to raabta hai pehle se

वो लुत्फ़-ए-ग़म से यहाँ आश्ना है पहले से
इसीलिए ग़मों में मुब्तला है पहले से

करेंगे कैसे किसी से ग़म-ए-हयात का ज़िक्र
हर एक शख़्स यहाँ ग़मज़दा है पहले से

फिजूल है ये तेरी रौशनी की कोशिश याँ
चराग़-ए-दिल ये मेरा बुझ चुका है पहले से

गिला नहीं है कोई तुझसे ऐ मेरे हमदम
हयात मेरी यहाँ बे मज़ा है पहले से

मज़ीद दर्द को ये ज़ब्त कर गया शायद
दिल-ओ-जिगर में मेरे इक ख़ला है पहले से

नहीं बुझे ये चराग़-ए-वफ़ा सो मैने यहाँ
लहू जिगर का दिये में रखा है पहले से

ज़ुबाँ न उसकी कभी बंद कर सकोगे यहाँ
वो शख़्स गूंगा नहीं बोलता है पहले से

हुज़ूर दर्द-ए-फ़िराक़-ए-वफ़ा से क्या होगा
ग़मों से "हैफ़" का तो राब्ता है पहले से

- Aman Kumar Shaw "Haif"
1 Like

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari