ho rooh ke tai jism se kis tarah mohabbat
taair ko qafas se bhi kahi ho hai mohabbat
go zill-e-humaa mat ho rahe sar pe hamaare
ta-hashr tera saaya-e-deewar salaamat
atwaar tire baais-e-aafaat-e-jahaan hain
aasaar tire hainge sab aasaar-e-qayaamat
sayyaad na ab be-par-o-baalon ko tu ab chhod
phir hasrat-e-gul degi hamein sakht aziyyat
asbaab jahaan ki to dila fikr na kar tu
haasil nahin kuchh is mein b-juz ranj-o-mashqqat
chhodunga na main tujh ko tire khat ke bhi aaye
tu tab bhi na ho yaar to ye bhi meri qismat
taabaan tu sada sair har ik gul ki kiya kar
is gulshan-e-hasti ka nazaara hai ghaneemat
हो रूह के तईं जिस्म से किस तरह मोहब्बत
ताइर को क़फ़स से भी कहीं हो है मोहब्बत
गो ज़िल्ल-ए-हुमा मत हो रहे सर पे हमारे
ता-हश्र तेरा साया-ए-दीवार सलामत
अतवार तिरे बाइस-ए-आफ़ात-ए-जहाँ हैं
आसार तिरे हैंगे सब आसार-ए-क़यामत
सय्याद न अब बे-पर-ओ-बालों को तू अब छोड़
फिर हसरत-ए-गुल देगी हमें सख़्त अज़िय्यत
अस्बाब जहाँ की तो दिला फ़िक्र न कर तू
हासिल नहीं कुछ इस में ब-जुज़ रंज-ओ-मशक़्क़त
छोड़ूँगा न मैं तुझ को तिरे ख़त के भी आए
तू तब भी न हो यार तो ये भी मिरी क़िस्मत
'ताबाँ' तू सदा सैर हर इक गुल की किया कर
इस गुलशन-ए-हस्ती का नज़ारा है ग़नीमत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading I love you Shayari Shayari