ek hi jaam ko pila saaqi | एक ही जाम को पिला साक़ी

  - Taban Abdul Hai

ek hi jaam ko pila saaqi
adl aur hosh le gaya saaqi

abr hai mujh ko may pila saaqi
is hawa mein na jee kudha saaqi

lab-e-dariya pe chaandni dekhoon
ho agar mujh se aashna saaqi

subh aaya sharaab mein makhmoor
neend se uth ke musmusa saaqi

sab ke tai tu ne may pilaai hai
main tarasta hi rah gaya saaqi

qahar hai may agar na de is waqt
jhoom aayi hai kya ghatta saaqi

kya maze se karoon chaman ki sair
garche ho abr aur mera saaqi

dard-e-sar hai khumaar se mujh ko
jald le kar sharaab aa saaqi

gar tu taabaan ko may pilaavega
tira ehsaan na hoga kya saaqi

एक ही जाम को पिला साक़ी
अद्ल और होश ले गया साक़ी

अब्र है मुझ को मय पिला साक़ी
इस हवा में न जी कुढ़ा साक़ी

लब-ए-दरिया पे चाँदनी देखूँ
हो अगर मुझ से आश्ना साक़ी

सुब्ह आया शराब में मख़मूर
नींद से उठ के मुसमुसा साक़ी

सब के तईं तू ने मय पिलाई है
मैं तरसता ही रह गया साक़ी

क़हर है मय अगर न दे इस वक़्त
झूम आई है क्या घटा साक़ी

क्या मज़े से करूँ चमन की सैर
गरचे हो अब्र और मिरा साक़ी

दर्द-ए-सर है ख़ुमार से मुझ को
जल्द ले कर शराब आ साक़ी

गर तू 'ताबाँ' को मय पिलावेगा
तिरा एहसाँ न होगा क्या साक़ी

  - Taban Abdul Hai

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari