kis se poochoon haaye main is dil ke samjhaane ki tarah | किस से पूछूँ हाए मैं इस दिल के समझाने की तरह

  - Taban Abdul Hai

kis se poochoon haaye main is dil ke samjhaane ki tarah
saath tiflaan ke laga firta hai deewane ki tarah

yaar ke paanv pe sar rakh jee ko apne deejie
is se behtar aur nahin hoti hai mar jaane ki tarah

kab pilaavega tu ai saaqi mujhe jaam-e-sharaab
jaan-b-lab hoon aarzoo mein may ki paimaane ki tarah

mast aata hai piye may aaj vo qaateel mera
kuchh nazar aati hai mujh ko apne jee jaane ki tarah

shamma-roo ke gird phirti hain sada qurbaan ho
chashm meri par laga mizgaan ke parwaane ki tarah

baagh mein gul ne kiya apne tai loohuluhaan
dekh us guncha-dahan ke paan ke khaane ki tarah

fasl-e-gul aayi hai taabaan ghar mein kya baitha hai yun
kar garebaan chaak ja sehra mein deewane ki tarah

किस से पूछूँ हाए मैं इस दिल के समझाने की तरह
साथ तिफ़्लाँ के लगा फिरता है दीवाने की तरह

यार के पाँव पे सर रख जी को अपने दीजिए
इस से बेहतर और नहीं होती है मर जाने की तरह

कब पिलावेगा तू ऐ साक़ी मुझे जाम-ए-शराब
जाँ-ब-लब हूँ आरज़ू में मय की पैमाने की तरह

मस्त आता है पिए मय आज वो क़ातिल मिरा
कुछ नज़र आती है मुझ को अपने जी जाने की तरह

शम्अ-रू के गिर्द फिरती हैं सदा क़ुर्बान हो
चश्म मेरी पर लगा मिज़्गाँ के परवाने की तरह

बाग़ में गुल ने किया अपने तईं लोहूलुहान
देख उस ग़ुंचा-दहन के पान के खाने की तरह

फ़स्ल-ए-गुल आई है 'ताबाँ' घर में क्या बैठा है यूँ
कर गरेबाँ चाक जा सहरा में दीवाने की तरह

  - Taban Abdul Hai

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari