qafas se chhootne ki kab havas hai
tasavvur bhi chaman ka ham ko bas hai
bajaae rakhna-e-deewar-e-gulshan
hamein sayyaad ab chaak-e-qafs hai
fugaan karta hi rehta hai ye din raat
ilaahi dil hai mera ya jars hai
katenge umr ke din kab ke be-yaar
mujhe ik ik ghadi sau sau baras hai
hamaari daad ke tai kaun pahunchen
na kui moonis na kui fariyaad-ras hai
gali mein yaar ki ho jaaie khaak
mere dil mein ye muddat se havas hai
safar duniya se karna kya hai taabaan
adam hasti se raah-e-yak-nafs hai
क़फ़स से छूटने की कब हवस है
तसव्वुर भी चमन का हम को बस है
बजाए रख़्ना-ए-दीवार-ए-गुलशन
हमें सय्याद अब चाक-ए-क़फ़स है
फ़ुग़ाँ करता ही रहता है ये दिन रात
इलाही दिल है मेरा या जरस है
कटेंगे उम्र के दिन कब के बे-यार
मुझे इक इक घड़ी सौ सौ बरस है
हमारी दाद के तईं कौन पहुँचे
न कुइ मूनिस न कुइ फ़रियाद-रस है
गली में यार की हो जाइए ख़ाक
मिरे दिल में ये मुद्दत से हवस है
सफ़र दुनिया से करना क्या है 'ताबाँ'
अदम हस्ती से राह-ए-यक-नफ़स है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Travel Shayari Shayari