kaaba hai agar shaikh ka masjood-e-khalaaiq
har but hai mere der ka maabood-e-khalaaiq
nuksaan se aur nafa se kuchh apne nahin kaam
har aan hai manzoor mujhe sood-e-khalaaiq
main dast-e-dua us ki taraf kyunki uthaaun
hota hi nahin charkh se maqsood-e-khalaaiq
firta hai falak fikr mein gardish mein ye sab ki
hargiz ye nahin chahta bahbood-e-khalaaiq
taabaan mere mazhab ko tu mat pooch ki kya hai
maqbool hoon khallaq ka mardood-e-khalaaiq
काबा है अगर शैख़ का मस्जूद-ए-ख़लाइक़
हर बुत है मिरे देर का माबूद-ए-ख़लाइक़
नुक़सान से और नफ़अ से कुछ अपने नहीं काम
हर आन है मंज़ूर मुझे सूद-ए-ख़लाइक़
मैं दस्त-ए-दुआ उस की तरफ़ क्यूँकि उठाऊँ
होता ही नहीं चर्ख़ से मक़्सूद-ए-ख़लाइक़
फिरता है फ़लक फ़िक्र में गर्दिश में ये सब की
हरगिज़ ये नहीं चाहता बहबूद-ए-ख़लाइक़
'ताबाँ' मिरे मज़हब को तू मत पूछ कि क्या है
मक़्बूल हूँ ख़ल्लाक़ का मरदूद-ए-ख़लाइक़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Aasman Shayari Shayari