yaar se ab ke gar miloon taabaan
to phir us se juda na hoon taabaan
ya bhare ab ke us se dil mera
ishq ka naam phir na luun taabaan
mujh se beemaar hai mera zalim
ye sitam kis tarah sahoon taabaan
aaj aaya hai yaar ghar mere
ye khushi kis se main kahoon taabaan
main to bezaar us se hoon lekin
dil ke haathon se kya karoon taabaan
vo to sunta nahin kisi ki baat
us se main haal kya kahoon taabaan
b'ad muddat ke maah-roo aaya
kyun na us ke gale lagoo taabaan
यार से अब के गर मिलूँ 'ताबाँ'
तो फिर उस से जुदा न हूँ 'ताबाँ'
या भरे अब के उस से दिल मेरा
इश्क़ का नाम फिर न लूँ 'ताबाँ'
मुझ से बीमार है मिरा ज़ालिम
ये सितम किस तरह सहूँ 'ताबाँ'
आज आया है यार घर मेरे
ये ख़ुशी किस से मैं कहूँ 'ताबाँ'
मैं तो बेज़ार उस से हूँ लेकिन
दिल के हाथों से क्या करूँ 'ताबाँ'
वो तो सुनता नहीं किसी की बात
उस से मैं हाल क्या कहूँ 'ताबाँ'
ब'अद मुद्दत के माह-रू आया
क्यूँ न उस के गले लगूँ 'ताबाँ'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Zulm Shayari Shayari