namkeen harf hai mera ye faseeh | नमकीं हर्फ़ है मिरा ये फ़सीह

  - Taban Abdul Hai

namkeen harf hai mera ye faseeh
kullo shaiin minnal-maleeh maleeh

wa kina rabbana azaabannaar
sham'a ki hai hamesha ye tasbeeh

lamin-al-maa kullo shaiin hay
sharb-e-may se hua hai mujh ko saheeh

mislahoo laisa waahidun gharra
maah-e-kanaan bhi tha agarche faseeh

jee mein aave so kah tu taabaan ko
laisa min feeka shatmana be-qabeeh

नमकीं हर्फ़ है मिरा ये फ़सीह
कुल्लो शैइन मिनल-मलीह मलीह

व क़िना रब्बना अज़ाबन्नार
शम्अ' की है हमेशा ये तस्बीह

लमिनल-मा कुल्लो शैइन हय
शर्ब-ए-मय से हुआ है मुझ को सहीह

मिस्लहू लैसा वाहिदुन ग़र्रा
माह-ए-कनआँ भी था अगरचे फ़सीह

जी में आवे सो कह तू 'ताबाँ' को
लैसा मिन फ़ीका शतमना बे-क़बीह

  - Taban Abdul Hai

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari