yaa talak ke hai tire hijr mein fariyaad ki bas
na hua tu bhi kabhi haaye ye irshaad ki bas
ek bulbul bhi chaman mein na rahi ab ki fasal
zulm aisa hi kiya tu ne ai sayyaad ki bas
be-sutoon khod ke sar phod diya jee apna
kaam aisa hi hua tujh se ai farhaad ki bas
dil ki hasrat na rahi dil mein mere kuchh baaki
ek hi teg laga aisi ai jallaad ki bas
ishq mein us ke bagule ki tira ai taabaan
khaak apni ko diya yaa tai barbaad ki bas
याँ तलक के है तिरे हिज्र में फ़रियाद कि बस
न हुआ तू भी कभी हाए ये इरशाद कि बस
एक बुलबुल भी चमन में न रही अब की फ़सल
ज़ुल्म ऐसा ही किया तू ने ऐ सय्याद कि बस
बे-सुतूँ खोद के सर फोड़ दिया जी अपना
काम ऐसा ही हुआ तुझ से ऐ फ़रहाद कि बस
दिल की हसरत न रही दिल में मिरे कुछ बाक़ी
एक ही तेग़ लगा ऐसी ऐ जल्लाद कि बस
इश्क़ में उस के बगूले कि तिरा ऐ 'ताबाँ'
ख़ाक अपनी को दिया याँ तईं बर्बाद कि बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Charagh Shayari Shayari