khota hi nahin hai havas-e-mataam-o-malbas | खोता ही नहीं है हवस-ए-मतअम-ओ-मलबस

  - Taban Abdul Hai

khota hi nahin hai havas-e-mataam-o-malbas
ye nafs-e-hawasnaak o bad-aamooz-o-muhavvas

be-shubah tiri zaat khudaavand-e-khalaaiq
a'laa hai ta'ala hai mu'alla hai muqaddas

vo kaam tu kar jis se tiri gor ho gulzaar
kya khaana-e-deewar ko karta hai muqarnas

madfan ke tai aage hi muna'im na bina rakh
kya jaaniye waan dafn ho ya khayega kargas

hai vasl tira jannat-o-dozakh hi juda hai
jaane hai kab is baab ke tai har kas-o-na-kas

tasveer tire panja-e-seemin ki tala se
deewaan mein hai mere likhi jaaye mukhammas

kehne ko mere dil ke sun ai gulshan-e-khoobi
gar hai to tire ko hai ye firdaus ye murdas

sun sun ke tira shor vo bezaar hua aur
naale ka asar tere dila dekh liya bas

is jubbah-o-ammaama se rindon mein na aao
rusva na karo shaikh-ji ye shakl-e-muqaddas

maanind-e-kamaan kham na karoon qad ko tam'a se
gardish mein rakhe go mujhe ye charkh-e-muqavvas

har raat hai aashiq ko tire roz-e-qayaamat
har roz judaai mein use ho hai hunddas

taabaan ye ghazal ahl-e-shuuroon ke liye hai
ahmaq na koi samjhe to jaane mera dhandaas

खोता ही नहीं है हवस-ए-मतअम-ओ-मलबस
ये नफ़्स-ए-हवसनाक ओ बद-आमोज़-ओ-मुहव्वस

बे-शुबह तिरी ज़ात ख़ुदावंद-ए-ख़लाइक़
आ'ला है तआ'ला है मुअ'ल्ला है मुक़द्दस

वो काम तू कर जिस से तिरी गोर हो गुलज़ार
क्या ख़ाना-ए-दीवार को करता है मुक़र्नस

मदफ़न के तईं आगे ही मुनइ'म न बिना रख
क्या जानिए वाँ दफ़्न हो या खाएगा कर्गस

है वस्ल तिरा जन्नत-ओ-दोज़ख़ ही जुदा है
जाने है कब इस बाब के तईं हर कस-ओ-ना-कस

तस्वीर तिरे पंजा-ए-सीमीं की तला से
दीवान में है मेरे लिखी जाए मुख़म्मस

कहने को मिरे दिल के सुन ऐ गुलशन-ए-ख़ूबी
गर है तो तिरे को है ये फ़िरदौस ये मुरदस

सुन सुन के तिरा शोर वो बेज़ार हुआ और
नाले का असर तेरे दिला देख लिया बस

इस जुब्बा-ओ-अम्मामा से रिंदों में न आओ
रुस्वा न करो शैख़-जी ये शक्ल-ए-मुक़द्दस

मानिंद-ए-कमाँ ख़म न करूँ क़द को तमअ' से
गर्दिश में रखे गो मुझे ये चर्ख़-ए-मुक़व्वस

हर रात है आशिक़ को तिरे रोज़-ए-क़यामत
हर रोज़ जुदाई में उसे हो है हुनद्दस

'ताबाँ' ये ग़ज़ल अहल-ए-शुऊरों के लिए है
अहमक़ न कोई समझे तो जाने मिरा धंदस

  - Taban Abdul Hai

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari