main ho ke tire gham se naashaad bahut roya
raaton ke tai kar ke fariyaad bahut roya
hasrat mein diya jee ko mehnat ki na hui raahat
main haal tira sun kar farhaad bahut roya
gulshan se vo jun laaya bulbul ne diya jee ko
qismat ke upar apni sayyaad bahut roya
nashtar to lagata tha par khun na nikalta tha
kar fasd meri aakhir fassaad bahut roya
kar qatl mujhe un ne aalam mein bahut dhoonda
jab mujh sa na kui paaya jallaad bahut roya
jab yaar mera bigda khat aaye se ai taabaan
tab husn ko main us ke kar yaad bahut roya
मैं हो के तिरे ग़म से नाशाद बहुत रोया
रातों के तईं कर के फ़रियाद बहुत रोया
हसरत में दिया जी को मेहनत की न हुइ राहत
मैं हाल तिरा सुन कर फ़रहाद बहुत रोया
गुलशन से वो जूँ लाया बुलबुल ने दिया जी को
क़िस्मत के उपर अपनी सय्याद बहुत रोया
नश्तर तो लगाता था पर ख़ूँ न निकलता था
कर फ़स्द मिरी आख़िर फ़स्साद बहुत रोया
कर क़त्ल मुझे उन ने आलम में बहुत ढूँडा
जब मुझ सा न कुइ पाया जल्लाद बहुत रोया
जब यार मिरा बिगड़ा ख़त आए से ऐ 'ताबाँ'
तब हुस्न को मैं उस के कर याद बहुत रोया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari