daag-e-dil apna jab dikhaata hoon | दाग़-ए-दिल अपना जब दिखाता हूँ

  - Taban Abdul Hai

daag-e-dil apna jab dikhaata hoon
rashk se sham'a ko jalata hoon

vo mera shokh hai nipt chanchal
bhag jaata hai jab bulaata hoon

us pari-roo ko dekhta hoon jab
ho ke deewaana sudh bhulaata hoon

mujh ko deta hai gaaliyaan uth kar
neend se jab use jagaata hoon

jab mujhe gherata hai gham taabaan
saagar-e-may ko bhar pilaata hoon

दाग़-ए-दिल अपना जब दिखाता हूँ
रश्क से शम्अ को जलाता हूँ

वो मिरा शोख़ है निपट चंचल
भाग जाता है जब बुलाता हूँ

उस परी-रू को देखता हूँ जब
हो के दीवाना सुध भुलाता हूँ

मुझ को देता है गालियाँ उठ कर
नींद से जब उसे जगाता हूँ

जब मुझे घेरता है ग़म 'ताबाँ'
साग़र-ए-मय को भर पिलाता हूँ

  - Taban Abdul Hai

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari