kai din ho gaye ya-rab nahin dekha hai yaar apna | कई दिन हो गए या-रब नहीं देखा है यार अपना

  - Taban Abdul Hai

kai din ho gaye ya-rab nahin dekha hai yaar apna
hua maaloom yun shaayad kiya kam un ne pyaar apna

hawa bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz
agar is dil pe hota haaye kuchh bhi ikhtiyaar apna

ye dono laazim-o-malzoom hain goya ki aapas mein
na yaar apna kabhu hote sunaane rozgaar apna

hua hoon khaak us ke gham mein to bhi seena-saafi se
nahin khota hai vo aaina-roo dil se ghubaar apna

ye sho'ala sa tumhaara rang kuchh zor hi jhamkata hai
jala kyunkar na doon main khirman-e-sabr-o-qaraar apna

sar-e-fitraak tha us ko na tha lekin naseebon mein
tadpata chhod kar jaata raha zalim shikaar apna

tujhe laazim hai hona meherbaan taabaan p ai zalim
ki hai betaab apna aashiq apna be-qaraar apna

कई दिन हो गए या-रब नहीं देखा है यार अपना
हुआ मालूम यूँ शायद किया कम उन ने प्यार अपना

हवा भी इश्क़ की लगने न देता मैं उसे हरगिज़
अगर इस दिल पे होता हाए कुछ भी इख़्तियार अपना

ये दोनो लाज़िम-ओ-मलज़ूम हैं गोया कि आपस में
न यार अपना कभू होते सुनाने रोज़गार अपना

हुआ हूँ ख़ाक उस के ग़म में तो भी सीना-साफ़ी से
नहीं खोता है वो आईना-रू दिल से ग़ुबार अपना

ये शोअ'ला सा तुम्हारा रंग कुछ ज़ोर ही झमकता है
जला क्यूँकर न दूँ मैं ख़िर्मन-ए-सब्र-ओ-क़रार अपना

सर-ए-फ़ितराक था उस को न था लेकिन नसीबों में
तड़पता छोड़ कर जाता रहा ज़ालिम शिकार अपना

तुझे लाज़िम है होना मेहरबाँ 'ताबाँ' प ऐ ज़ालिम
कि है बेताब अपना आशिक़ अपना बे-क़रार अपना

  - Taban Abdul Hai

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari