in zaalimon ko jor siva kaam hi nahin | इन ज़ालिमों को जौर सिवा काम ही नहीं

  - Taban Abdul Hai

in zaalimon ko jor siva kaam hi nahin
goya ki un ke zulm ka anjaam hi nahin

gham vasl mein hai hijr ka hijraan mein vasl ka
hargiz kisi tarah mujhe aaraam hi nahin

kya kya kharaabiyaan main tire vaaste sahin
tis par bhi chaahne ka mere naam hi nahin

ab ham dinon ko apne na royen to kya karein
karne the jin mein aish ve ayyaam hi nahin

ve shakhs jin se fakhr jahaan ko tha ab ve haaye
aise gaye ki un ka kahi naam hi nahin

tum jo har ik ke dil ko sataate ho kya miyaan
aaghaaz ka jafaa ke kuchh anjaam hi nahin

taabaan bata main izz kahaan tak kiya karoon
juz tark-e-mehr-yaar ka paighaam hi nahin

इन ज़ालिमों को जौर सिवा काम ही नहीं
गोया कि उन के ज़ुल्म का अंजाम ही नहीं

ग़म वस्ल में है हिज्र का हिज्राँ में वस्ल का
हरगिज़ किसी तरह मुझे आराम ही नहीं

क्या क्या ख़राबियाँ मैं तिरे वास्ते सहीं
तिस पर भी चाहने का मिरे नाम ही नहीं

अब हम दिनों को अपने न रोएँ तो क्या करें
करने थे जिन में ऐश वे अय्याम ही नहीं

वे शख़्स जिन से फ़ख़्र जहाँ को था अब वे हाए
ऐसे गए कि उन का कहीं नाम ही नहीं

तुम जो हर इक के दिल को सताते हो क्या मियाँ
आग़ाज़ का जफ़ा के कुछ अंजाम ही नहीं

'ताबाँ' बता मैं इज्ज़ कहाँ तक किया करूँ
जुज़ तर्क-ए-मेहर-यार का पैग़ाम ही नहीं

  - Taban Abdul Hai

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari