sun fasl-e-gul khushi ho gulshan mein aaiyaan hain | सुन फ़स्ल-ए-गुल ख़ुशी हो गुलशन में आइयाँ हैं

  - Taban Abdul Hai

sun fasl-e-gul khushi ho gulshan mein aaiyaan hain
kya bulbulon ne dekho dhoomen machaaiyaan hain

beemaar ho zameen se uthte nahin asa bin
nargis ko tum ne shaayad aankhen dikhaaiyaan hain

dekh us ko aaina bhi hairaan ho gaya hai
chehre pe jaan tere aisi safaaiyaan hain

khurshid us ko kahiye to jaan hai vo peela
gar mah kahoon tira munh to us pe jhaaiyaan hain

yun garm yaar hona phir baat bhi na kehna
kya be-muravvati hai kya bewafaiyaan hain

jhamki dikha jhijhak kar dil le ke bhag jaana
kya achpalaaiyaan hain kya chanchalaaiyaan hain

qismat mein kya hai dekhen jeete bachenge ki mar jaayen
qaateel se ab to ham ne aankhen ladaiyaan hain

dil aashiqon ka le kar phir yaar nahin ye dilbar
in be-muravvato ki kya aashnaaiyaan hain

phir meherbaan hua hai taabaan mera sitamgar
baatein tiri kisi ne shaayad sunaaiyaan hain

सुन फ़स्ल-ए-गुल ख़ुशी हो गुलशन में आइयाँ हैं
क्या बुलबुलों ने देखो धूमें मचाइयाँ हैं

बीमार हो ज़मीं से उठते नहीं असा बिन
नर्गिस को तुम ने शायद आँखें दिखाइयाँ हैं

देख उस को आइना भी हैरान हो गया है
चेहरे पे जान तेरे ऐसी सफ़ाइयाँ हैं

ख़ुर्शीद उस को कहिए तो जान है वो पीला
गर मह कहूँ तिरा मुँह तो उस पे झाइयाँ हैं

यूँ गर्म यार होना फिर बात भी न कहना
क्या बे-मुरव्वती है क्या बेवफ़ाइयाँ हैं

झमकी दिखा झिझक कर दिल ले के भाग जाना
क्या अचपलाइयाँ हैं क्या चंचलाइयाँ हैं

क़िस्मत में क्या है देखें जीते बचें कि मर जाएँ
क़ातिल से अब तो हम ने आँखें लड़ाइयाँ हैं

दिल आशिक़ों का ले कर फिर यार नहीं ये दिलबर
इन बे-मुरव्वतों की क्या आश्नाइयाँ हैं

फिर मेहरबाँ हुआ है 'ताबाँ' मिरा सितमगर
बातें तिरी किसी ने शायद सुनाइयाँ हैं

  - Taban Abdul Hai

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari